Sep 18, 2014

Mujh ko bhi baatain kab aati hain


Mujh ko bhi baatain kab aati hain

Main to bas khamosh sa shair

Ulfat chahat kay rangon se

Dil ki khaali tasveeron main

Koi mohabbat likh deta hoon

Aur kabhi dewaar se lag kar

Koi mohabbat ro deta hoon

Aur kabhi aankhon aankhon main

Sari baatain keh jaata hoon

MAin to aik khamosh sa shair

Mujh ko baatain kab aati hain

Mujh ko baatain agar aatiein to

Tum kiya mujh ko chor jaati

Mere sapnay tor kar jaati

Kiya meri aankhon main dukh kay

Itnay aansoo dekh sakti thi

Mera kall sarmaya tha jo

Kiya mujh se woh le sakti thi

Mujh ko baatain agar aatein to

Main tum se woh sab kehta

Jo tum sunanay ki khwaish main

Saray raastay bhool aye ho

Main tehra khamosh sa shair

Mujh ko baatain agar aatein to

Tum hi meray khwaab sajaati

Youn na tanha chor kar jaati

Kaash mujhay bhi baatain aatein

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...