Sep 29, 2014

Muqaddar samjh liya hai main ne


Yeh teray ishq ka hi kamaal hai 

Muqaddar samjh liya hai main ne 

Jo aankh bhaata nahin , dil ko pasand nahin 

Apnay ashkon main bhigo diya main ne 

Es shaher ki subh-e-be'noor ko 

Shabnam samjh kar log nangay niklay 

Meray her khwaab main tu hota hai 

Magar zindagi main mera nahin ho ga 

Ulti hoti hai her khwaab ki tabeer 

Mujh se kuch kehnay ki tawaqo na rakh 

"Karna" zindagi se mansoob hota hai 

Khouf ki fasal bo kar 

Ehal-e-shaher se sonay ki tawaqo 

Dimaagh ka khalal lagta hai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...