Sep 26, 2014

Pariyon se sundar ek larki hai jaanay kiya jaado karti hai


Pariyon se sundar ek larki hai

Jaanay kiya jaado karti hai

Chahye jitnay gham hon

Par dekh kar us ki surat dil ko khushi milti hai

Chaand sa roshan chehra hai

Aankhon se masti jhalakiti hai

Baatain hain mishree se meethi

Awaaz main koi koyal bolti hai

Roop hai us ka koi khilta hua kanwal

Us ko dekh kar hi shayed ghazal banti hai

Kisi pal bhi woh na door rahi hum se

Her pal jo meri saanson main basti hai

Aag ko dekh kar aur baato si hi

Jaanay kitni khwaish is dil main palti hain 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...