Chahat ka rang tha na wafa ki lakeer thi
Qaatil kay haath main to hina ki lakeer thi
Khush hoon keh waqat-e-qatal mera rang surkh tha
Mere labon pe harf-e-dua ki lakeer thi
MAin karwaan ki raah samjhta raha jissay
Sehra ki rait pe woh hawa ki lakeer thi
Sooraj ko jis ne shab ky andheron main gum kiya
Mouj-e-shafaq na thi woh qaza ki lakeer thi
Guzra hai shab ko dasht se shayed woh parda daar
Her naqsh-e-paa kay saath rida ki lakeer thi
Kal us ka khat mila keh sheefa wafa ka tha
Mohsin her satar haya ki lakeer thi
No comments:
Post a Comment