Rishtay bantay hain aasmaano main 
Phir us khwaab ne be'chain kar diya ho ga 
Neend main hi sahi mera naam jab liya ho ga 
Kon aata hai kisi se is tarah milnay 
Mera khyaal teray dil main aa gaya ho ga 
Kuch to hai teray meray darmiyaan kahin 
Ek baar sahi dil zor se dharka ho ga 
Kabhi yaad jo ayi ho gi tanhai main 
Laakh roka magar ek aansoo to tapka ho ga 
Ishq zaahir na ho zubaan se magar 
Sab aankhon ne keh diya ho ga 
Rishtay bantay hain aasmaano main 
Tera mera bhi teh hua ho ga 
Dil main tasveer kisi ki hai "Zahid"
Haan yaqeenan tumhain pata ho ga 
 
 
 
          
      
 
  
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
No comments:
Post a Comment