Sep 26, 2014

Roshni kay doobnay se pehlay


Aaj phir saahil pe kharri dekhon doobta suraj

Aasmaan pe phaili tez laali ko 

Ik qadam uthaana hai 

Jaana hai suraj ki aur

Ban kay ik gehra raaz

Phaila hai yeh waseeh-o-areez samandar 

Manzil hai woh doobti roshni 

Raasta hai yeh dolti lehrain 

Her qatray main hain chupay toofaan 

Na bheegtay huye guzarna hai 

Anjaanay paaniyon se

Ik mojzay tak jaanay ko 

Ik mojzay se jaana hai 

Hai yeh ik hairaan kun pahaili 

Roshni kay doobnay se pehlay 

Roshni ki aur qadam uthaana hai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...