Sep 3, 2014

Sadma to hai mujhay bhi keh tujh se juda hoon main



Sadma to hai mujhay bhi keh tujh se juda hoon main 

Lakin ab yeh sochti hoon kay ab teri kiya hoon main 

Sadma to hai mujhay bhi keh tujh se juda hoon main 

Bikhra para hai tere hi ghar main tera hi wajood

Be'kaar mehfilon main tujh ko dhoond rahi hoon main 

Kiya janay kis ada se liya tu ne mera naam 

Duniya samjh rahi hai keh sab kuch teri hoon main 

Lakin ab yeh sochti hoon keh ab teri kiya hoon main 

Sadma to hai mujhay bhi keh tujh se door hoon main 

Lay mere tajurbay se sabaq ae mere naseeb 

Do chaar saal uamr main tujh se bari hoon main 

Lakin ab yeh sochti hoon keh ab teri kiya hoon main 

Sadma to hai mujhay bhi keh tujh se juda hoon main

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...