Sep 23, 2014

Shab-e-tanhai ka aalam tha


Shab-e-tanhai ka aalam tha

MAin kharri thi teri raah main

Keh kaash to kabhi loat aye

Mujh ko kabhi tu sada to dy

Baarish bhout tez thi

MAin roti rahi , roti rahi

Meray aansoo kuch khaas thay

Kisi ne aa kay sambhaal liya

Teray kafan ka aik tukra dost

Aj bhi meray paas hai

Jis main tu so gaya

Woh mitti meray paas hai

Na janay kiyon main aaj bhi

Ek umeed lay kar baithi hoon

Tum aao gay

Tum aao gay

Ek roz tum aao gay

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...