Sep 16, 2014

Shab-e-tanhai


Shab-e-tanhai

Woh jo baray sukh main hai

Ussay kehna

Keh raat ka pichla pehar hai

Aur abhi hum jaagtay hain

Hamari aankhon se neend kooson door hai

Hamaray lab abhi tak us kay naghmay gun'gunaatay hain

Hamara zehan ab bhi us ki baatain sochta hai to

Kabhi hum hans se detay hain

Kabhi jee bhar kay rotay hain

Shab-e-tanhai ki yak'basta hawao

Ussay kehna hum ab bhi

Ba'wuzu ho kar tumhara naam letay hain

Ussay kehna yeh apna naqsh dho jaye

YA phir se apna ho jaye

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...