Sep 7, 2014

Shakista aaiyon ki kirchiaan achi nahin lagtein



Shakista aaiyon  ki kirchiaan achi nahin lagtein
Mujhe wadoon ki khaali seephiyaan achi nahe lagtein


Guzishta rutt kay rangon ka asar dekho keh ab muj ko
Khuley aangan main urrti tittliyan achi nahe lagtein


Woh kia ujaar nagar tha jiss ki chahat kay sabab ab tak
Harri baaliyon say uljee tehni'yaan achi nahin  lagtein


Dabhay paa'on hawa jin kay chiraghoon say bahelthi hoo
Mujhe aisay gharoon ki khirkiyaan achi nahe lagthein


Bhaley lagtey hein toofaano say lartey baadbaan mu jko
Hawa kay rukh pe chalti kashtiyaan achi nahin  lagtein


Yeh keh kar aaj ussey bhi taaluq torr aya hoon
Meri jaan muj ko ziddi larkiyaan achi nahe lagtein


Kisi ghar mein rassn basta rahen jo raat din mohsin
Mujhay akser woh sehmii hirniyaan achi nahe lagtein

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...