Sep 26, 2014

Sirf tum nahin aye


Shaam roz aa jaati hai meray darwaze par 

Meri tanhai ka tamasha dekhnay kay liye

Suraj roz nikal aata hai 

Mujhay umeed dikhaanay ko

Chaand bhi 15 20 dino tak jhalak dikhaata hai 

Aatay jaatay mousam jaisay 

Waswasay aur khouf bhi aatay hain 

Andhera bhi bisaat bhar draata hai 

Zindagi bhi door kharri hansti hai 

KAl baarish  ne bhi drawa diya kabhi na brasnay ka 

Khizaan kay pattay bhi ruswaiyon se draanay lagay 

Barf taknay apni sard baanhon main panah denay ko kaha 

Sabhi aye baari baari 

Sirf tum nahin aye

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...