Sep 16, 2014

soch lena


Bana kay banjar yeh dil ki basti 
Ujar jaatay hain soch lena 
Mohabbaton main to aisay aisay 
Sailaab aatay hain soch lena
Yeh uljhi zulfain 
Yeh laal aankhain 
Yeh mailay kapray 
Yeh zard chehra 
Hasaas logon ki zindagi main 
YEh baab aatay hain soch lena 
Aadha din to sulagtay sehra ki 
Jalti raiton pe chal liya kar 
Keh hijraton main to is se barh kar 
Azaab aatay hain soch lena 
Hijar ne meray tabbah kiya hai 
To chor do na yeh pyaar karna 
Keh un ki jaanib se is tarah bhi 
Jawaab aatay hain soch lena

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...