Sep 24, 2014

Suna hai woh saath wafa laya hai


Suna hai woh shaher main aya hai 

Suna hai woh saath wafa laya hai

Suan hai woh phool sang apnay chand murjhaye laya hai

Suan hai woh ashk bhari muskuraahatain bhi laya hai

Uss se kaho

Yahan koi kharidaar nahin 

Yahan koi be'qaraar nahin 

Yahan koi sogwaar nahin 

Us se kaho 

Lout jaye

Keh

Yeh shaher-e-khamoshaan hai

Yahan sab basi khamosh hain 

Yahan koi dard nahin koi chubhan nahin 

YAhan bas meethi neend sotay hain 

Teray chahnay wale

Ab nahin rotay hain 

Ab nahin rotay hain

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...