Sep 24, 2014

Suna hai zakhm harey hon to dard detay hain


Suna hai zakhm harey hon to

Dard detay hain

Kaanta ban kar chubhtay hain

Her pal aik mout martay hain

per

Jaana

Jo zakham tu ne diye

Woh to

Jaltay hain shama ki maanind

Ehsaas shabnam ka ban kar rehtay hain meray mann main

Jab main tanha hota hoon to kalaam kartay hain

Jab main rota hoon to tera aks ban kar dil lubhaatay hain

To janaa

Yeh teh hai

Jo hum suntay thay

Woh sab harf-e-ghalat tehray

Sirf harf-e-ghalat

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...