Sep 15, 2014

Suna ho ga bhout tum ne



Suna ho ga bhout tum ne 
Kahin aankhon ki rim jhim ka 
Kahin palkon ki shabnam ka 

Parha ho ga bhout tum ne 
Kahin lehjay ki baarish ka 
Kahin sagar kay aansoo ka 

MAgar tum ne meray ham'dam 
Kahin dekhaye , kahin parkhaye 
Kisi tehreer kay aansoo

Mujhay teri judai ne
Yahi mehraaj bakhshi hai 

Keh main jo lafaz likhta hoon 
Woh saray lafaz rotay hain 
Keh main jo harf bunta hoon 
Woh saray bain kartay hain 

Meray sang judai main 
Meray alfaaz martay hain 

Sabhi tareef kartay hain 
Meri tehreer ki lakin 
Kabhi koi nahin sunta 
Meray alfaaz ki siski 

Falak pe jo hila dalay 
Meray lafzon main hai shaamil 
Usi taseer kay aansoo
Kabhi dekho meray hamdam 

Meri tehreer kay aansoo

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...