Mat is khwaab kay peechay bhaago
Pathar ban kar reh jaao gi
Tez bhout hai waqat ka dariya
Tum bhi is main beh jaao gi
Yeh nashtar jaye ruswaai
Bolo, kaisay seh paao gi
Kiya bachon jaisi baaton se
Tum sab ko behlaa sakti ho
Kiya tum apnay mann ki mantiq
Duniya ko samjhaa sakti ho
Khwaabon jaisi baatein kar kay
Kiya tabeerain paa sakti ho
Baap ki shafqat , maa ki mamtaa
Kiya savh much thukra sakti ho
Jis ghar main parwaan charhi tum
Us ko chor kay aa sakti ho
Aisi baatain na'mumkin hain
Bas tum apni tanhai main
Hijar kay geet hi gaa sakti ho
No comments:
Post a Comment