Sep 1, 2014

To wafa se aasra kaisay karain


Bhrosay ne bhi dhoka dy dia hamain 
To wafa se aasra kaisay karain 

Jab dharkan ne hi dil ka saath na dia 
To saanson ki aarzoo kaisay karain 

Palkon pe saj agaya woh hamaray diye judai kay 
Ab aandhi se shikwa kaisay karain 

Kaha tha us ne keh ik din loat kar aaon ga 
Ab waqat se gila kaisay karain 

Zindagi ki kashti beech samnadar atak gayi
Jayein bhi to kaisay aur kaisay hum marain 
 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...