Sep 5, 2014

Tohfa zara sa tha , magar us ne uchaal kar diya


Saray jahan ko adeem , waqif-e-haal kar diya 
Tohfa zara sa tha , magar us ne uchaal kar diya 

Us ki nazar ko daad do jis ne yeh haal kar diya 
Mera kamaal kuch nahin us ne kamaal kar diya 

Ik nigah ka zarf-ba-zarf mukhtalif 
Is ko nidhaal kar diya , us ko nihaal kar diya 

Yeh to hua hathaliyaan gumbad-e-surkh ban gayein 
Haathon ki Aot na magar raka sambhaal kar diya 

Koi to is ki qadar kare , koi to us ka ajar dy 
Us ne adeem tujh ko dil , kitno ko taal kar diya 

Bhout sukhan ki chaal pari , us ne adeem maan li 
MAin ne firaaq kaat kar us ko wisaal kar diya

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...