Tu ne jab se nazar andaaz kiya hai mujh ko 
Ajnabiyat si meray chaaron taraf chaai hai 
Aur mehsoos yeh hota hai , keh main tanha hoon 
Saans leta hoon to khushboo si teri aati hai 
Aisay lagta hai keh ehsaas kay andar tu hai 
Kiya tamasha hai keh main phir bhi tujhay chahta hoon 
Jab keh khwaish bhi nahin 
Mujh ko tujhay dekhnay ki 
Tu takhiyul hai mera aur meray bas main nahin 
 
No comments:
Post a Comment