Sep 8, 2014

Tum ne hi majboor kiya hai



 Tum ne hi majboor kiya hai

Mujh ko raayh badalnay par

Jeevan kay be'ant safar main

Ghair ka ho kar chalnay par

MAin ne tumhri aashaaon ka

Her her roop sraaha tha

MAin ne apna aap bhulaa kar

Tum ko toot kay chaha tha

Umar ki uljhi dewaaron par

Qismat ka anshyaara tha

Aur bhout thay suraj lakin

Tum sa chraagh hi pyaara tha

Lakin tum hi mere maseeha

Nafrat kay saanchay main dhal kar

Ik din mere samnay aa gaye

Qatil ka behroop badal kar

Ab kiya shikwa, kaisi shikayat

Chahat kay sab rishtay kachay

Main bhi aur tum bhi harjaai

Main bhi theek aur tum bhi sachay

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...