Tum se kuch nahin kehna
Hum ne soch rakha hai
Chahaye dil ki her khwaish
Zindagi ki aankhon se
Ashk ban kar beh jaye
Ghar ki saari dewaarain
Chatt smait gir jayein
Aur be'muqaddar hum
Khud hi kiyon na dab jayein
Tum se kuch nahin kehna
Kaisi neend thi apni
kaisay khwaab thay apnay
Aur ab gulaabon par
Neend wali aankhon par
Naram'khoo se khwaabon par
Kiyon azaab tootay hain
Tum se kuch nahin kehna
Ghir gaye hain raaton maon
Be'libaas baaton main
Is tarah ki raaton main
Kab chraagh jaltay hain
Kab azaab tal'tay hain
Ab to in azaabon se
Bach kay bhi nikalnay ka
Raasta nahin jaana
Jis tarah tum ko bhi
La'zawaal lamhon se
Waasta nahin jaan a
Hum ne soch rakha hai
Tum se kuch nahin kehna
No comments:
Post a Comment