Udaasiyon ka yeh mousam badal bhi sakta hai
Woh chahta to mere saath bhi chal sakta tha
Woh shakhs jissay tu ne chornay main jaldi ki
Tere mizaaj kay saanchay main dhal bhi sakta hai
Woh jald'baaz khafa ho kar chal dia warna
Tnazaat ka koi hal nikal bhi sakta tha
Ana ne haath uthany nahin dia warna
Meri dua se woh pathar pighal bhi sakta tha
Tamaam umar tehray muntazir rahay "Mohsin"
Yeh aur baat hai keh woh raasta badal bhi sakta tha
No comments:
Post a Comment