Sep 4, 2014

Un ki yaadon kay jo aakhri thay nishaan




Barq nazron ko 
Baad-e-saba chaal ko 
Aur zulfon ko kaali ghatta keh diya 
Meri aankhon main 
Sawan ki rut ayi jab 
Deeda-e-yaar ko meh'kada keh diya 
MAin kahan jurrat-e-lab'kushai kahan 
Toba toba junoon ki yeh be'taabiyan 
Ru-ba-ru jin kay nazrain bhi uth'ti na thein 
Un kay munh pe unhain be'wafa keh diya 
 
Un ki yaadon kay jo aakhri thay nishaan 
Dil tarap'ta raha hum mitataay rahay  
Khatt likhay thay jo us ne kabhi pyaar main 
Un ko parhtay rahay aur jalaatay rahay 
Un pe khushiyon kay baadal barastay rahay 
Hasraton kay mujhay naag dastay rahay 
Main idhar khilwaton main tarapta raha 
Woh udhar mehfilon ko sajatay rahay 
 
Wafa ki aakhri had se guzar liya jaye 
Sitam garon kay mohallay main ghar liya jaye 
Jidhar nigah uthay aap hi kay jalway hon 
Jeeyein to aisay jeeyein warna mar liya jaye 
 
MAin jidhar bhi gaya jis taraf bhi gaya 
Rog hi rog thay sog hi sog thay 
Woh bhi thay log jo zakham detay rahay 
Woh bhi thay log jo zakham khaatay rahay 
 
Kuch to murda parasti ka dastoor tha 
Youn bhi her koi rasmon se majboor tha 
Zinda logon kay ghar main andhera raha 
Log qabron pe shamain jalatay rahya 
 
Un ka koi paighaam na aya 
Dil ka tarapna kaam na aya
Tu na mila to dar mila hai 
Dar se tere na'kaam na aya 
Husan ne ki jee bhar kay jafaein 
Us pe magar ilzaam na aya 
Tere baghair ae jaan-e-tamana 
Dil ko kahin araam na aya 
 
Haye woh pyaar kay pur'khatar silsalay 
Uff woh na'kaamiyon kay kathan marhalay 
Ghair to ghair hain un se shikwa hi kiya 
Hum se apnay bhi nazrain churaatay rahay 
Laakh samjhaya "sadiq" ne tum ko sanam 
Aaj kal pyaar ki jins na'yaab hai 
Paaglon ki tarah tum nagar dar nagar 
Khaak galiyon main youn hi uraatay rahay
 
 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...