Sep 22, 2014

Un'kahi kay lehjay main



Un'kahi kay lehjay main

Kiya kiya nahin kaha hum ne

Un'suni kay parday main

Kiya kiya nahin suna tum ne

Raaz jo nahin khulta

Jaantay hain hum dono

Baat jo nahin kartay

Maantay hain hum dono

Dhund chai rehti hai

Qehar jaisa aalam hai

Dil zadon ki basti ka

Kiya ajeeb mousam hai

Aik mehak farsooda si

Jaisay faiz ki naaz main

Yaad ki kasak ho jaisay

Faraz ki ghazlain

Soch aik jaisi hai

Khwaab aik jaisay hain

Door door reh kar bhi

Saath saath chaltay hain

Khush gumaaniyaan dil ki

Kaan main yeh kehti hain

Dooriyon se darna kiya

Aah-e-sard bharna kiya

Aisi rut bhi aye gi

Jab keh shak kahay farwa par

Misal-e-gul khailain gay hum

Aik din milain gay hum

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...