Sep 16, 2014

Woh jo tum ko yaad nahin hai


Woh jo tum ko yaad nahin hai

Tum ne mujh se itni saari baatain ki thein

Itni saari baaton main ik baat to ho gi

Jis kay peechay meh'taabi ik raat to ho gi

Mujh ko baaqi baaton se kiya lena

Main ne tumharay paas jo itna waqat guzaara

In lamhaat main koi to aik lamha ho ga

Jis kay andar tera dil bhi dharka ho ga

Mujh ko baaqi lamhon se kiya lena

Woh jo tum ko yaad nahin hai

MAin ussay bhool nahin paya hoon

Waqat keh jo khamosh bhout hai

Meray sukhan main bolta hai

Raaz-e-mohabbat kholta hai

Yeh aik raaz to meri umar-e-rawaan ka hissa hai

Aur zamanay bhar kay liye ik qissa hai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...