Sep 10, 2014

Woh khud hi be'wafa ho gaya mujh se


Jo meri zindagi ka saathi tha 

Us ne bhi bhulaa diya mujh ko 

Dil main jo rehta tha dharkan ban kar 

Usi ne nazron se gira diya mujh ko 

Jo meri aankh main ansoo nahin dekh sakta tha 

Usi sang dil ne rulaa diya mujh ko 

Meri chahat main kiya kami thi yeh to bata 

Meri wafaon ka yeh sila diya mujh ko 

Woh khud hi be'wafa ho gaya mujh se

Pyaar kay daway kar kay be'aasra kar diya mujh ko

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...