Sep 24, 2014

Woh milay ga tujhay teri apni nigahon main


JAb jab teri raah dekhi

Jab jab tujhay talaasha

Jab jab teri sadaa ko pukaara

Loat kar her nazar her sadaa her talaasha

Meray ujjaray aangan main misl-e-khaak 

Bikhar gaye

Aur

Faqat itna kaha 

Tera mehboob aasmaan ki wusa'aton mainnahin 

Zameen ki pa'taal gehraiyon main nahin 

Shabnam ki oos qatron main nahin 

Sagar kay motiyon main nahin 

Haan 

Woh tujhay mile ga 

Fajar ki thandi hawa main 

Asr kay dhaltay suraj main 

Shab-e-aakhir kay chragh-e-sehar main 

Chaand ki chaandni main 

Sawan ki pehli boond main 

Woh milay ga tujhay teri apni nigahon main

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...