Sep 9, 2014

Woh tujhay yahan nahin milay ga


Tujhay mile to ussay mera bhi salaam kehna

Suno jugno
Main ussay pukaarta
Thakan se choor
Apnay pairon ki chaalon
Ko saath saath liye
Dhoondta hua
Is jungle main aa poncha hoon
Par kisi ne bhi to
Ussay pyaar ka pata nahin bataya
Suno jugnoo
Woh jugnu hi to tha
Tum mujhay us tak raah diklaao
Junoo ne kaha , paglay
MAin bhi to us bin adhoora hoon
Jab tak woh raha , main roshanraha
Phir na janay woh kahan kho gaya
Tujhay mile to ussay mera bhi salaam kehna "
Yahan se loat ja
Woh tujhay yahan nahin milay ga
Jissay pukaarta tu gali gali hai
Woh jugnoo nahin woh to roshni hai

Suno gul !
Tum ne dekha nahin
To suna to ho ga
MAin kaisay us bin
Jeeta hoon
To phir madad karo
Woh phool hi to tha
Tumhi us gul ka pata batao
Gul ne kaha , paglay
Mujhay khud usi ki aas hai
Teri tarah hi talaash hai
Us bin to main kuch bhi nahin
Tujhay milay to ussay mera bhi salaam kehna
Yahan se loat ja
Woh tujhay yahan nahin milay ga
Jissay dhoondta tu ku-ba-ku hai
Woh phool nahin woh to khushboo hai

Suno Dil !
Main bhout thak chuka hoon
Tum ne dekha woh kahin nahin milta
To phir suno
Uss ki yaad apnay aap
Main se
Nikaal do
To mujhay bhi khuch qaraar aaye
NAhin to
Aisay na dar'ba'dar karo
Madad karo
Dil ne kaha ! paglay 
MAin bhi to jaanib-e-sanam rawaan hoon
Uss bin to main ik veeraana hoon
Mujh ko bhi uss ki nahin kuch khabar
Tujhay milay to ussay mera bhi salaam kehna
YAhan se loat jaa
Woh tujhay yahan nahin milay ga
Jis bin meri bhi zard rangat hai
Woh dil nahin woh to mohabbat hai

Suno aankh !
Tum ne to sab kuch dekha hai
Main aur kitna bhatkon ga
Woh tujh main hi to rehta hai
Teray aansoo'on main
Main ne us ki
Surat dekhi hai
Bas to tum ko qasam  hai
Talaash khatam karo
Ab madad karo
Aankh ne kaha ! paglay
Uss kay bin to hum bhi dar'ba'dar ho gaye hain
Aansoo thay jitnay saray , pathar ho gaye hain
Woh meri beenai ki wusa'aton se baahir hai
Tujhay milay to ussay mera bhi salaam kehna
Yahan se loat ja
Woh tujhay yahan nahin mile ga
Jis ki talaash hi tera muqadar hai
Woh aansoo nahin woh samandar hai

Suno samandar
MAin gham ka maara hoon
Apnay bhanwar se kaho
Mujhay paar lagaye
Youn na staaye
Mujhay dabo kar
Woh khud bhi doob jaye ga
Suno samandar !
Meri khushk aankhon
Ki janib dekho
To tumhain yaad aye ga
Keh yeh sookhi thi
To tum banay thay
Aaj wohi aankhain
Tum se madad maangti hain
inhain paar laga do
Mera yaar mila do
Samandar ne kaha paglay
Yeh jo tu mujh main dekhta irta'aash hai
Ussi dilbar ki to pyaas hai
Woh kisi jazeeray par bhi to nahin milta
Tujhay milay to ussay mera bhi salaam kehna
Yahan se loat ja
Woh tujhay yahan nahin mile ga
Jis ki chah main tu ghayal hai
Woh samandar nahin woh to saahil hai

Suno Saahil !
Meri haalat tum par ayaan hai
Labon pe dam hai
Nikalnay ko yeh jaan hai
Ab aur safar mujh se nahin ho ga
Tum aakhri umeed ho
Main ne tumharay
In chamaktay zaraat main
Uss ko dekha hai
Saahil ne kaha ! Paglay
Uss bin to meray zarron main chamak nahin
Zindagi ab koi baaqi ramak nahin 
Woh janay kiyon hum se rootha hai 
Tujhay milay to ussay mera bhi salaam kehna
Yahan se loat jaa
Woh tujhay yahan nahin milay ga 
Ab kabhi nahin mile ga 
Woh bichar gaya so bichar gaya 
 To tu bhi loat jaa
Woh jo tujhay jee jaan se pyaara hai 
Woh to zarah nahin woh to taara hai 

Sun ae hawa

Sun ae hawa
Mera sara safar be'kaar gaya 
Main haar gaya Main haar gaya 
Jugnu , gul ,aur dil
Ankh samandar aur saahil 
In sab main 
Mujhay woh kahin na mila 
Meri aas ka guishan 
Sookh gaya 
Woh kiyon mujh se youn 
Rooth gaya 
Sang lay kay woh baahir gaya 
Main haar gaya , main haar gaya 
Sun meri baat O paglay 
Tu itni jaldi haar gaya 
Abhi kahan tu 
Beech mang'dhaar gaya 
To phir kahan teri mohabbat 
Woh tera pyaar gaya
Tu itni jaldi haar gaya 

Dekh hawa 
Tujhay sab hai pata 
To tu hi bata 
Main kiya karon 
Kahan ja kay us ko talaash karoon 
Main kiya karon 
Jo meray dil pe chai chaandni hai 
Woh jungoo nahin woh to roshni hai 
Woh jo kahin nahin par chaar soo hai 
Woh phool nahin woh to khushboo hai 
Woh jo saray aalam se khoobsurat hai
Woh dil nahin woh to mohabbat hai
Woh meri aankhon main jis ka ghar hai 
Woh ansoo nahin woh samnadar hai 
Woh jo meri wafa ki manzil hai 
Woh samndar nahin woh to saahil hai 
Woh jo meri umeed mera sahara hai 
Woh zarah nahin woh sitara hai 

Par paglay sun 
Tu kiyon youn bhat'takta hai 
Jissay tu poochta hai keh kahaan hai 
WOh her jaga yahan wahan hai 
Yahi to teri mohabbat ka imtihaan hai 
Ussay paanay ki ussau choonay ki 
Uss kay honay na honay ki 
Baaton ko bhool jaa
Ussay apnay mannmain 
Mehsoos to kar 
To phir se us ko khoj magar 
Kisi wajood main mat dhoondna ussay 
Bahaaron main basi usi ki muskurahat hai 
Ussi ki aankhon se roshan yeh jahan hai 
Tu ussay dhoond magar ik baat bhool kar 
Ussay choo mat bas mehsoos kar 
Woh jo teri zameen tera aasmaan hai 
Woh koi jisam nahin woh to jaan hai 

Haan ae hawa
Main phir se us ko dhoondon ga 
Aur dhoond saka to poochon ga 
Par ae hawa
Tujhay hai pata 
Main sadiyon se 
Uss kay liye bhat'takta raha 
Tu ne to sab dekha 
Tu to jaanta hai keh ab waqat kam hai 
Meray labon pe dam hai 
To bas main to chala 
Alwida Alwida 
Par sun Ae hawa
Tu meri wafa ki gawahi dena 
Meri justagoo ki sab nishaani dena 
Agar kabhi 
Agar kabhi mile 
To ussay bata hi den a
Sun ae hawa

Meray dil kay kaaghaz par likha woh paighaam kehna 
Main jissay pukaarta raha barson woh us ka naam kehna 
Us ki aankhon ko Madh bharay do jahan kehna 
Us kay dil main rang-o-mohabbat ka qayaam kehna 
Us ki jawaani ko bahaaron ka baadal , us ko naazuk-andaam kehna 
Phir meri aarzoo meri talaash , lagaan mera kaam kehna 
Main ussay dhoond leta par bhout ooncha us ka maqaam kehna 
Par meri justagoo , meri wafaon pe laga her ilzaam kehna 
Thin tund-o-tez hawaein aur diya tha bhout bad'naam kehna 
Phir bhi chraagh-e-dil jalta hi raha subh-o-shaam kehna 
Phir us kay kaano main dheeray se mera anjaam kehna 
Tujhay milay to ussay mera bhi salaam kehna



No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...