Sep 27, 2014

Yeh kehna us se hawa


Her taraf phool thay 

Kaliyon ki mehak thi

Chaand ki chaandni se khilta aasmaan tha 

Rangon ki her lamha aik nayi daastaan thi

Aankhain khuli main tum thay 

Kehna aye hawa us se

Na phool hain 

Na kaliyon ki mehak hai 

NA chaand ki chandani hai 

NA rangon ka jahaan hai 

Yeh kehna us se hawa

Jab se tum gaye ho

Khuli aankhain veeraan hain aur

Sapno ki zameen banjar hai 


 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...