Sep 8, 2014

Yeh raat yeh tanhai


Yeh raat yeh tanhai
Yeh dil ki dharaknay ki
Awaaz aur snaata
Yeh doobay taaron ki
Khamosh ghazal khwaani

Yeh waqat ki palkon par
Soti hui veeraani
Jazbaat-e-mohabbat ki
Yeh aakhri aangraai

Bajti hui her jaanib
Yeh mout ki sehnaai
Sab tum ko boltay hain
Pal bhar ko tum aayo na

Band hoti meri aankhon main
Apni mohabbat ka
Ek khwaab saja jaao
Ek baar tum aa jaao

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...