Sep 27, 2014

Yeh silsalay azaab kay , yeh fasilay , yeh qurbatein


Yeh silsalay azaab kay , yeh fasilay , yeh qurbatein

Ajeeb si yeh raahatein , yeh chahtain , yeh mohabbatain

Ik lagan ki aag si, yeh tarap kasak hai kiya

Moal lain azaab aur muft baantain nafratein

Kisi kay haath main qalam , kisi kay haath main alm

Kisi kay haath main taighzan, Kisi ka tann hai aag main

Kisi kay sar pe taaj hai , kisi ka sar hai daar pe

Ajeeb sa hai khouf sa, Yeh wehshatein yeh dehshatein

Bhaagtay hain mard-o-zan , yeh bachay boorhay kis taraf

NA koi in ka reh'numa , na raastay na manzilain

Aye waqat tu zara tehar , zara to thamm kay saans lain

Yeh khasta haal aadmi , yeh neem jaan auratein

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...