Sep 23, 2014

Youn hi kal raat ko janam


Youn hi kal raat ko janam

Ajab si soch main gum thi

Teri baatain teri yaadain

Ab mujhay tanha nahin kartein

Youn hi hanstay huye aksar

NA janay phir se kiyon ab bhi

Puraani kuch haseen baatain

Mujhay phir se rulaati hain

Yahi dekh kar aksar

Meri aankhain barasti hain

Magar aik baat yeh bhi hai

Teri masoom si baatain

Mujhay phir se hansaati hain

Mujhay ronay nahin datein

Magar ab kiya karoon main bhi

Muqadar main jo likha hai

Khuda hi jaanta bas hai

YAhi samjh kar jaanam

MAin kal raat ko pyaray

Ajab se soch main gum thi

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...