Sep 18, 2014

Zeena zeena , utar rahi hai raat


Shaam kay paich-o-kham sitaaron se 
Zeena zeena , utar rahi hai raat 
Youn saba paas se guzarti hai
Jaisay keh di kisi ne pyaar ki baat 
Sehan-o-zindaan kay be'watan ashjaar
Sar nagoon mehav hain bananay main 
Daaman-e-aasmaan pe naqsh-o-nigaar 
Saneha-e-baam par damakta hai 
Meharbaan chandani ka dasht-e-jameel 
Khaak main ghull gaya hai aab-e-najoom 
Noor main ghull gaya hai arsh ka neel
Sabz goshon main neelgon saaye 
Leh'lahaatay hain , jis tarah dil main 
Mouj-e-dard-e-firaaq-e-yaar aye
Dil se paihaam khyaal kehta hai 
Itni sheerein hai zindagi is pal
Zulam ka zehar ghoolnay wale
Kamraan ho sakain gay aaj na kal 
Jalwa gaah-e-wisaal ki shammain 
Woh bhuja dil chukay , agar to kiya ?
Chaand ko gul karain , to hum jaanain

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...