Ek ajbar hai ab ehsaas-e-wafa bhi yeh dil main basaana theek nahin
Ab saaz-e-dil afsurda par , es geet ko gaana theek nahin
Tum bhool chukay yeh sab behtar , tum chor chalay yeh aur acha
Khwaabon main magar majbooriyon ka yeh aana jaana theek nahin
Keh do keh nahin hum mil saktay , keh do keh koi majboori hai
Lakin yeh labon tak la la kar baaton ko chupaana theek nahin
Ae shouq-e-janoon ab baaz bhi aa , kuch maan bhi lay tu mera kaha
Jo jaan kay bhi anjaan banay , gham us ko sunaana theek nahin
Ab chor bhi do dewaana pan , ab bhool bhi jaao maazi ko
Ae shams yeh pal pal khilwat main ashkon ka bahaana theek nahin
No comments:
Post a Comment