Gayi woh baat ki ho guftagu to kyun kar ho
kahin se kuch na hua phir kaho to kyun kar ho
humare zehan mein is fikr ka hai naam wisaal
ki gar na ho to kahan jaayen ho to kyun kar ho
adab hai aur yahi kash'makash to kya keejiye
hayaa hai aur yahi go'ma'go to kyun kar ho
tumhin kaho ki guzara sanam paraston ka
buton ki ho agar aisi hi khu to kyun kar ho
uljhate ho tum agar dekhte ho aaina
jo tum se shahar mein hon ek do to kyun kar ho
jise naseeb ho roz-e-siyaah mera saa
wo shaqs din na kahe raat ko to kyun kar ho
humein phir un se umeed aur unhin humari qadr
humari baat hi puchhe na wo to kyun kar ho
galat na tha humein khat par gumaan tasalli ka
na maane deedaa_e deedaar ju to kyun kar ho
bataao us mishaa ko dekhakar ho mujh ko qarar
yah nesh ho rag_e jaan mein faro to kyun kar ho
mujhe junoon nahi gaalib wale baqaul-e-huzoor
firaaq-e-yar mein taskeen ho to kyun kar ho
No comments:
Post a Comment