Gham-e-firaaq se pehlay shab-e-wisaal kay baad
Hai aur kiya jissay dekhaye teray jamaal kay baad
Tamaam umar kaati intizaar main apni
Koi bhi dukh na mila phir teray malaal kay baad
Jawaab mil gaya mujh ko teri khamoshi se
Tumharay lafaz kiyon khoye meray sawaal kay baad
Tumharay meray taaluq pe youn khizaan chali
Kabhi urooj nahin hai jissay zawaal kay baad
Main teri yaad kay charchay ko dhaamp doon lakin
Bachay ga kiya meri jholi main is kamaal kay baad
Woh ab ki baar mila is qadar takaluf se
Keh kuch bhi nahin pooch paya main us se haal kay baad
No comments:
Post a Comment