Oct 27, 2014

Hamaray sar pe bhi honay ko aasmaan to hai


Baraey naam hi sahi koi meharbaan to hai 
Hamaray sar pe bhi honay ko aasmaan to hai 

Teri faraakh dili ko duaein deta hoon 
Meray labon pe teray lams ka nishaan to hai 

Yeh aur baat kh woh ab yahaan nahin rehta 
Magar yeh us ka basaya hua makaan to hai 

ilaawa is kay na kuch aur parda rakh mujh se 
Faseel-e-jisam meray teray darmiyaan to hai 

Bichar kar zinda nahin reh sakain gay hum dono
Mujhay yeh weham to hai us ko yeh gumaan to hai 

Saron pe saya figan abar-e-arzoo na sahi 
Hamaray paas saraabon ka sayabaan to hai 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...