Oct 3, 2014

Is dil pe hai bas naam tumhara


Jo main na rahoon , Aankhon main aansoo na bharna tum 

Is dil pe hai bas naam tumhara , yeh yaqeen rakhna tum 

Main hoon teray saath tu ham'raah hai meray her qadam 

Door ho kar bhi kahaan aik doosray se hain door hum 

Guzarta her pal , her lamha  teray aur qareeb kar deta hai 

Saanson ki yeh dor , saanson kay sang jor det ahai 

Meray ham'dam meray hum'nawa pyaar tera meri zindagi 

Khuda kay baad main karoon dil se bas teri hi bandagi 


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...