Tumhaari anjuman se uth kar deewaanay kahan jaatay
Jo waabasta huway tum se woh afsaanay kahaan jaatay
Nikal kar dair-o-kaaba se agar milta na maikhaana
To thukraaye huway insaan khuda jaanay kahaan jaatay
Tumhaari be-rukhi ne laaj rakh li baadah khaanay ki
Tum aankhon se pila daitay to paimaanay kahaan jaatay
Chalo acha huwa, kaam aagayi deewaangi apni
Wagarna ham zamaanay bhar ko samjhaanay kahaan jaatay
“Qateel” apna muqaddar gham se begaana agar hota
To apnay paraaye hum
se peh’chaanay kahaan jaatay
No comments:
Post a Comment