Oct 28, 2014

Keh do aaj teray dil main nahin koi aya hai


Keh do aaj teray dil main nahin koi aya hai 
Aaj jo hai samaa yeh bas tu ne banaya hai 

Is baar thukraya tu ne phir na thukraana 
Bari minatoon se khuda ko manaya hai 

Aap kay dil main ishq ki shamma jalanay ko 
Hum ne raat din khud ko jalaya hai 

Is janam main tu meri ho nahin sakti par 
Main ne aglay her janam kay liye tujh ko paya hai 

Kasak teray siwa aur kuch na chahyea , tu ne hi 
To is ghayal ko ishq karna sikhaya hai 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...