Oct 29, 2014

Kiyon hamain mout kay paighaam diye jaatay hain


Kiyon hamain mout kay paighaam diye jaatay hain 
Yeh saza kam to nahin hai keh jiye jaatay hain 

Hum hain ek shamma magar dekh , bujhtay bujhtay 
Roshni kitnay andheron ko diye jaatay hain 

Nasha dono main hai saaqi , mujhay gham dy keh shraab 
Meh bhi pee jaati hai , aansoo bhi piyea jaatay hain 

Tujh ko barson se kiyon hai tarq-e-taaluq ka khyaal 
Faisalay woh hain jo pal bhar main liye jaatay hain 

Apni taarekh-e-mohabbat kay woh hi hain soorat 
Hans kar her saans par jo zehar piye jaatay hain 

Abgeeno ki tarah dil hain ghreebon kay Faraz
Toot jaatay hain kabhi tor diye jaatay hain 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...