Kuch bhi to nahi waisa
jaisa tujhe socha tha
jitna tujhe chaha tha
socha tha tere lab per
kuch harf dua'on kay
kuch phool wafa'on kay
mehkein gay meri khatir
kuch bhi to nahi waisa
jaisa tujhe socha tha
mehsoos yeh hota hai
dukh jheelay thay jo ab tak
be-naam musaafat mein
likhnay ki mohabbat mein
parhnay ki zaroorat mein
be-sood riyazat thi
be-faiz ibaadat thi
jo khawaab bhi dekhay thay
in jaagti aankhon nay
sab khaam-khayali thi
phir bhi tujhe paanay ki
dil ke kisi goshay mein
khuwahish to bacha li thi
lekin tujhe paa kar bhi
aur khud ko ganwa kar bhi
iss habs k mausam ki
khirki say hawa aai
na phool say khushbo ki
koi bhi sadaa aai
ab neend hai aankhon mein
na dil main wo pehli si
taaza sukhan aara'i
na lafz mere niklay
na harf-o-ma'ani ki
danish mere kaam aai
na'deeda rafaaqat mein
jitni bhi aziyyat thi
sab mere hi naam aai
kuch bhi to nahi wesa
jesa tujhe socha tha
jitna tujhe chaha tha
No comments:
Post a Comment