Oct 16, 2014

Muhabbton ke nisaab jaisa , woh aik chehra kitaab jaisa


Muhabbton ke nisaab jaisa

woh aik chehra kitaab jaisa

mehkta hai meray qalb-o-jaan mein

woh shakhs khiltay ghulaab jaisa

yaqeen bhi hai wo meray dil ka

gumaan bhi hai saraab jaisa

main sochon us ko tou toot jaye

khayaal nazuk hubaab jaisa

wo baansuri hai jo hoont rekhon

jo daikhon choo k, rubaab jaisa

main us ke agay na daikh paaon

wo ik sarapa naqaab jaisa

gunah hai yahan muhabbat

mujhay gunah yeh sawaab jaisa

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...