Oct 28, 2014

Tera jawaab teray sawalaat hi main tha


Uljhaao ka maza bhi teri baat hi main tha 
Tera jawaab teray sawalaat hi main tha 

Saya kisi yaqeen ka bhi jis par na par saka 
Woh ghar bhi shaher-e-dil ki muzaafaat hi main tha 

Ilzaam kiya hai yeh bhi na jana tamaam umar 
mulzim tamaam umar hawalaat hi main tha 

Ab to faqat badan ki murawat hai darmiyaan 
Tha rabt jaan-o-dil ka to shoruaat hi main tha 

Mujh ko to qatal kar kay manaata raha hai jashan 
Woh zi'lihaaz shakhs meri zaat hi main tha 


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...