Oct 27, 2014

Teray dar pe aana chahta hoon


Aik aas lagana chahta hoon 
Teray dar pe aana chahta hoon 

Kuch nazar-e-karam ho hum par agar 
Hum sar ko jhukaana chahatay hain 

Kiya do gay hamain saari khushiyaan 
Hum daaman ko phailaana chahaty hain 

Teray kanday pe sar rakh kay hum 
Gham apnay sunaana chahtay hain 

Tum kiya chaho gay hum se kaho ?
Hum khud ko mitaana chahtay hain 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...