Oct 29, 2014

Udaasiyon ka yeh mousam badal bhi sakta hai


Udaasiyon ka yeh mousam badal bhi sakta hai 
Woh chahta to meray saath bhi chal sakta hai 

Woh shakhs jissay tu ne chornay main jaldi ki 
Teray mizaaj kay saanchay main dhal bhi sakta hai 

Woh jald baaz khafa ho kar chal diya warna 
Tnazaat ka koi hal nikal bhi sakta hai 

Anaa ne haath uthanay nahin diya warna 
Meri dua se woh pathar pighal bhi sakta tha 

Tamaam umar teray muntazir rahay Mohsin 
Yeh aur baat hai keh woh raasta badal bhi sakta hai 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...