Lafz kitnay hi teray pairon se liptay hon gay
Tu ne jo aakhri khat mera jalaya ho ga
Tu ne jab phool kitaabon main se nikaalay hon gay
Denay wala bhi jab tujhay yaad to aya ho ga
Teri aankhon kay dariya ka
Utarna bhi zaroori tha
Mohabbat bhi zaroori thi
Bicharna bhi zaroori tha
Zaroori tha keh
Hum dono tawaaf-e-aarzoo kartay
Magar phir aarzo'on ka
Bikharna bhi zaroori tha
Teri aankhon kay dariya ka
Utarna bhi zaroori tha
Bataayo yaad hai tum ko
Woh jab dil ko churaya tha
Churaai cheez ko tum ne
Khuda ka ghar banaya tha
Woh jab kehti thi
Mera naam tum tasbeeh main parhti ho
Mohabbat ki nazmon ko
Qara karnay se darti ho
Magar ab yaad aata hai
Woh baatain thi mehaz baatain
Kahin baaton hi baaton main
Mukarna bhi zaroori tha
Teri aankhon kay dariya ka
Utarna bhi zaroori tha
Wohi hain soortain apni
Wohi main hoon , wohi tum ho
Magar khoya hoon main
Magar tum bhi kahin gum ho
Mohabbat main dagaha ki thi
So kaafir thi so kaafir hain
Mili hain manzalain phir bhi
Musaafir thay nusaafir hain
Teray dil kay nikaalay hum
Kahaan bhatkay kahaan ponchay
Magar bhatkay to yaad aya
Bhatkana bhi zaroori tha
Mohabbat bhi zaroori thi
Bicharna bhi zaroori tha
Zaroori tha keh
Hum dono tawaaf-e-aarzoo kartay
Magar phir aarzo'on ka
Bikharna bhi zaroori tha
Teri aankhon kay dariya ka
Utarna bhi zaroori tha
No comments:
Post a Comment