Hum jo tootay to is tarah tootay
Hum jo tootay to is tarah tootay
Jaisay haathon se gir kar pathar par
Koi shafaaf aaina tootay
Jaisay palkon se toot kay aansoo
Jaisay seenay main ik kamaan tootay
Jaisay umeed ki nazuk daali
Barg mousam main na'gahaan tootay
Jaisay aankhon main khwaab ki doori
Waqat-e-takmeel se ulajh jaye
Jaisay pairon talay zameen niklay
Jaisay sar par yeh asmaan tootay
Jaisay ik shaakh pe bhroosa kiya
Is pe jitnay thay aashiyaan tootay
Jaisay wehshat se hosh aa jaye
Jaisay ta'dair main dihaan tootay
Ab jo raiza huye to sochtay hain
Kis ne dekh tha tootna apna
Hum jo tootay to raigaan tootay
No comments:
Post a Comment