Nov 30, 2014

Kahin aahain , kahin sadmay , kahin wabaal rakha hai


Kahin aahain , kahin sadmay , kahin wabaal rakha hai

Tumharay hijar ne malba yeh dil pe daal rakha hai

Sar-e-tasleem kham kaisay karain na dil ki khwaish par

Isi tootay sheeshay ne hamain sambhaal rakha hai

Palat kay phir nashaiman main kai panchi nahin ponchay

Kisi ne baam par shayed bichaaye jaal rakha hai

Chalay aao, zara dekho keh her mehfil main duniya ne

Tera mera woh qissa hai jo ab uchaal rakha hai

Ajab yeh log detay hain tujhay nisbat gulaabon se

Ghazal main hum ne tujh ko hi teri misaal rakha hai

Yeh fasal-e-dosti hai ya koi hai chaal ka hissa

Keh ab kay youn jo dushman nay mera khyaal rakha hai

Koi woh aarzoo hum ko , kiya hai dar ba dar jis ne

Kisi khyaal ne ghar se hamain nikaal rakha hai

Kaha us ne bichar jaayein mohabbat main jo hum dono

Zara si baat ne pehron mujhay nidhaal rakha hai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...