Nov 20, 2014

Meray hamsafar abhi soch lay


Mujhay yaad koi dua nahin meray hamsafar abhi soch lay 
Tu meri jabeen pe likha nahin meray hamsafar abhi soch lay 

Abhi raasta bhi hai dhool main abhi faida bhi hai bhool main 
Abhi mujh ko tujh se gila nahin meray hamsafar abhi soch lay

Main janam janam se naraaz hoon main janam janam se udaas hoon 
MAin kabhi khul kay hansa nahin meray hamsafar abhi soch lay 

Tu hai khwaab khwaab pukaarta meri aankh main nahin ashk bhi 
MAin muddaton se jiya nahin meray hamsafar abhi soch lay 

Tujhay khushboo'on ki hai aarzoo tujhay roshni ki hai justagoo 
Main hawa nahin diya nahin meray hamsafar abhi soch lay 

Tujhay aansoo'on ka pata nahin tujhay ratjagon ka gumaan nahin 
Tujhay is se aagay pata nahin meray hamsafar abhi soch lay 

Kabhi choot sakta hai darmiyaan na zameen milay gi na aasmaan 
Tujhay raastay ka pata nahin meray hamsafar abhi soch lay 

Mujhay dhoondta hi phiray ga tu na jiye ga roz maray ga tu 
Main kabhi bhi ghar pe mila nahin meray hamsafar abhi soch lay 

Kaho loutna hai kaisay yahaan meray dard sun meray meharbaan 
Meray paas waqat zara nahin meray hamsafar abhi soch lay

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...